dil ki ye jo baate hai,
inhe dil tak tehelne do,
armaan hai jo dil ke,
unhe dil me ubalne do,
mil jaayega koi uhi raah me chalte chalte,
jab tak milta nhi koi humsafar,
mujhe iss rah par uhi chalne do.
in hotho ki ye jo baatein,
unn hotho tak aa gayi,
fir mere alfaaz ke ye gunche,
unn hotho pe muskaan bann ke jo chha gayi,
ab to mujhe bass unn hotho par,
muskaan bann ke sawarne do,
jab tak milta nhi koi humsafar,
mujhe iss rah par uhi chalne do.
kaha mujhse logo ne ki,
mat jaana uss rah par,
badi bedard hai ye raahe,
na hi sangdil,na hi saathi,
na hi humdard hai ye raahe,
muskura diya main,
kaha iss gam ko bhi hum par gujarne do,
jab tak milta nhi koi humsafar,
mujhe iss rah par uhi chalne do.